Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty…..
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty…..
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
palkein bi chamak uthi hein sote hi hamari
aankho ko abhi khawab chupane nahi aaty
dil ujri hain ik saraye ki terha hain
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hein
ab yaad samje derd porane nahi aate
urdny do abhi parindo ko shoh hawa mein
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
is shehar ke badal teri zulfon ki terha hein
yeh aag lagate hein per bojane nahi aaty
ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gaye hein
aaty hein magar dil ko dukhane nahi aaty…
Mohabbat: Ab k toote toh na sambhalenge
Mohabbat: Ab k toote toh na sambhalenge
asar ho raha hai mohabbat k aaaj phir
aaj phir main nagme gungunaane laga hun
pahle main darta tha mohabbat k khel se
ab phir se baazi lagaane laga hun
jiski talaash thi mujhe hamesha
kya tum sachmuch wahi ho
tumhe dekhta hun toh lagta hai
kii kaahin tum khwaab toh nahi ho
bas pad lo meri aankhon main mohaabat apne liye
labon se keh saku itni himmat ab nahin hai
todna mat mera dil jo tumko diya hai
is baar jo main bikhra toh phir judna mumkin nahi hai
kya kahu tujhe main eh pyaar ki moorat
kya kahu tujhe main eh pyaar ki moorat
teri chawi kissi lafz ki mohataaj nahi
kabhi ek jalti low ho pak-mohha’bat ki
sirf sat rango mein simm’ta jiska jahan nahi
kabhi Shabnam samaan pavitar aagni ho
jiske samne kissi aag ka koi tej nahi
kabhi mammta ka anchal ban prem barsaye
chu paye tere parivar ko,aisi koi hawa nahi
chanchal,alharad nadi sa weg tumhara
haar kar rukna jiska kabhi sabhaw nahi
jis sung kadam mila lo,taqdeer badal jaye uski
jo na samjhe teri ehmiyaat,woh shayad insaan nahi…!!!
Dil main kuch ghum, aankh main kuch nami
Dil main kuch ghum, aankh main kuch nami…..aur qalam se kuch naye alfaaz………………….!!!
Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,
Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain
Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke,
Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain
Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,
Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain
Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bohot door
Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty…..
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty…..
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
palkein bi chamak uthi hein sote hi hamari
aankho ko abhi khawab chupane nahi aaty
dil ujri hain ik saraye ki terha hain
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hein
ab yaad samje derd porane nahi aate
urdny do abhi parindo ko shoh hawa mein
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
is shehar ke badal teri zulfon ki terha hein
yeh aag lagate hein per bojane nahi aaty
ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gaye hein
aaty hein magar dil ko dukhane nahi aaty…
Ab na hoga raabta kehna usse…..
Ab na hoga raabta kehna usse…..
Ab na hoga raabta kehna usse
jis pe hum chalte rahe hain saath saath
Khogaya woh raasta kehna usse
Teri yaadein Dil se rukhsat hogayin
Hochuka yeh saniha kehna usse
Ab na dekhenge tumhara raasta
Dil ko hum samjha chuke kehna usse
Chain se sone na dega gham tujhe
Raat bhar ab jaagna kehna usse
Aashna ban ker na milna raah main
Dosti ek khuwaab tha kehna usse
Murr kar peeche dekhte hum bhi nahi
Soch ker moonh phairna kehna usse….
Jo main na rahoon
Jo main na rahoon
Jo main na rahun, aankhon main aansoo na bharna tum
Is dil pe hai bas naam tumhara, yeh yaqeen rakhna tum
Main hoon tere sath, tu humraah hai mere har qadam
Door ho kar bhi kahan ek doosre se hain door hum
Guzarta har pal, har lamha tere aur qareeb kar deta hai
Saanson ki yeh dor teri saanson ke sang jod deta hai
Mere humdum, mere humnawa, pyar tera, meri zindagi
Khuda ke baad, main karun dil se bas teri hi bandagi!!
Kisi na kisi pe kisi ko aetbaar ho jata hai,
Kisi na kisi pe kisi ko aetbaar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
Khubiyon se nahin hoti mohabbat sadaa,
Khamiyon se bhi aksar pyar ho jata hai.
Kin lafzon mein itni kadvi kasili baat likhoon,
Main sach likoon ke apne haalat likhoon,
Kaise likhoon main chandni raatein,
Jab garam ho ret to kaise main barsat likhoon.
Sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate,
Sabhi lowg mehfil mein bulaaye nahi jaate,
Kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuch door reh kar bhi bhoolaye nahi jaate!
Who ik dost jo pyara sa lagta hain,
Bahut pass hai dil k phir bhi juda sa lagta hain,
Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,
Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hain
Zindagi to ek khwab hai,
Woh zindagi kiya jismay khwab nahi hotay,
Hath ke lakiron ko kismat na samajhna,
Kismat unke bhi hote hai, zinkay hath nahi hotay.
har tarannum mein milii hai terii aavaaz mujhe
har tarannum mein milii hai terii aavaaz mujhe
ek hii naGmaa sunaataa hai har ek saaz mujhe
ishq kaa bhii koii anjaam huaa karataa hai
ishq mein yaad hai aaGaaz hii aaGaaz mujhe
jaise viiraane se Takaraa ke palaTatii hai sadaa
dil ke har goshe se aaii terii aavaaz mujhe
jo kisii ko bhii na chaahe use chaahanaa
umr bhar apanii muhabbat par rahaa naaz mujhe
Mohabbat ka sapna
Mohabbat ka sapna
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne
Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne?
Zakham iskadar mohabbat ne diye
Hum ne in zakhmo ko phool samjha
Mohabbat ki chik o pukaar iskadar thi
Ke aaas pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne
Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye
Har chamakti chiz ko sona samjha hum ne
Dewaana iskadar mohabbat ne bannaya humko
Ke apno ko begana samjha hum ne
Mohabbat ki yaadein dil par kuch you naksh kar Gaye.
Ke on ko bhulane ki khoshish main
Khod ko bhula diya hum ne..???